Friday, January 18, 2013

How To Add An Image In Mp3

Mostly jo bhi mp3 files hum download karte hain to unhe play karne par us mp3 ki album photo hamein dikhti hai, agar apko window media player me album photo nahi dikhti hai toaap right click karke Album Art select kar sakte hain. aur agar aap vlc me koi mp3 play karenge to wo by default uska album cover hi dikhayega.
ab sawal ye aata hai ki aap khud koi bhi photo kis tarah mp3 me embed kar sakte hain? to iskajawab ye hai ki ek chhote se software ki help se aap aisa kar sakte hain. is software ka naam hai Mp3tag .
sabse pehle ise DOWNLOAD kijiy
..



ab ise install kijiye aur run kijiye. uske baad Add directories par jakar mp3 folder ko browse karke ok kijiye.Saare mp3 load ho jane ke baad kisi bhi Mp3 file ko select karenge to uske sare tags dikhayi denge jinhe aap chahein to edit kar sakte hain. aur album cover niche dikhayi dega jise change karne ke liye us par right click kijiye aur add cover par click kijiye. fir jo image(jpg, jpeg or PNG) aapko lagani hai use browse kijiye use select kijiye aur tag ko save kar dijiye.Ab jab bhi aap us Mp3 file ko play karenge to jo image apne lagayi thi wo hi player me dikhayi degi.
Enjoyy yourself

No comments:

Post a Comment